Saturday, January 4, 2014

Doobta Suraj


Doobta Suraj or pedon pe vapis loute hue panchi , ellan kar rahe he Ek or din ke guzar jaane ka.
Ye juzarta hua din jo har kissi ko ek sa mila tha. Kissi ne khush ho ke isse jiya to kissi ne gum me nikal diya.
kissi ne apne sapno ke peeche bhagte hue to kissi ne rajai ke neeche alsaate hue. Ye guzarta hua din or ye 'samay', ab kabhi bh , kissi ke liye bh, vapis loutke nahi ayega.

Sochta hun to samajh aata he ki is duniya jaha itna kuch he , bas ek 'samay' hi to he jo har ek insaan ko hisse me barabar ka mila he. Issi 'samay' ko koi reng ke, koi chal ke to koi bhagte hue beeta deta he or phir ek din chala jata he, apne peeche sab kuch chod bas yaadein sath liye. issi 'Samay' ki.

To ab se, aj se. me bas inhi kuch yaadoan ko, jo mere sath jayegi, yaadgar banane ki koshish karunga. taki jab me Inhe yaad karu to mujhe jara sa bh afsos na ho or me masti se keh saku ki ' waah kya samay beeta tha' .. :)



 

No comments:

Post a Comment